Listen

Description

meri har zidd ko poora krne ke liye papa ko manaate ho
ye jo aap itna pyaar jataate ho,farishto se chura ke laate ho?

maa teri mumta sa na koi mol hai
tera pyaar mere liye duniya ki sab cheezo se bhi zyaada hai anmol hai

zindagi mei itna kuchh kiya tune mere liye bata iska koi karz kaise chuka paayega
Main kya voh khuda bhi tujhpe nahi likhpayega
aur fer ik nayaab cheez par kuchh alfaaz likhne ka khyaal hi mitt jayega

afsos nahi ye jahaan mile ya naa mile
bas mere aakhir tak har hisse mein mujhe meri maa mile

aur Agar mera bas chale toh bhagwaan ka naam badal kar maa kardu
zindagi mei ek tamanna hai meri ki khwaaish tu ik taare ki kre aur tere naam main poora asmaan kardu