bas hum hi hain
aik sawaal tum
aik jawab hum
tumharay zehn main ye awaz
bas hum hi hain
kabhi musaraton ki dhoop
kabhi sheerni si chandni
ye badaltay mosam
ik tum or hum hi hain
aik gul tum
aur sath ka pata
bas hum hi hain
is shakh par janab
bas hum hi hain
tumhari baithak ko
sochon say sajaanay walay
bas hum hi hain
aik awaz tum
aik goonj hum
faqt hum hi hain