Aaj hum baat karenge ek aise topic par jo na sirf aapke dil ko chhoo lega, balki aapki rooh tak ko shanti dega.
Kabhi aapne mehsoos kiya hai… ek ajeeb si bechaini, darr, ya kuch aisa jo aapko rok raha hai apne hi potential se?
Zindagi ke rang tabhi khoobsurat lagte hain jab hum andar se heal ho.
Aur is healing ka ek shaktishaali zariya hai — Mantra aur Stotra Chanting.
Yeh sirf shabdon ka japa nahi, yeh ek vibration hai… ek divine frequency… jo aapke sharir, man aur aatma tak pahunchta hai.
Let’s understand today — Why is chanting mantras so powerful?
Because every sound has energy.
When we chant mantras with faith and intention, we align ourselves with the higher frequencies of the universe.
Mantras work on your subconscious mind and your energy body — slowly removing the fear, blockages, sadness, and confusion that cloud be your inner light.
🌿 Let’s look at some healing mantras and their specific powers:
⭐To start Something New, ya sare Vighna ko harne ke liye:- Chant " Ganapati Mantra " .Yeh Vighna harta hai, inke jaap karo yeh app ke sare Vighna ko har lete hai .
✨ Fear & Inner Strength ke liye — Chant Hanuman Chalisa.
Bajrangbali ka naam lene se hi himmat dil mein aa jaati hai. Jab aap Hanuman Chalisa gungunate hain, aapke andar ke warrior ko jagate hain.
💰 Financial Blockages release karne ke liye — Chant Kanakdhara Stotra.
Goddess Lakshmi ke is stotra mein ek aisi kripa shakti hai jo aapke jeevan mein samriddhi ka prakaash laa sakti hai.
🕉️ Illness aur health recovery ke liye — Chant Mahamrityunjaya Mantra.
Yeh mantra Shivji ka hai, jo jeevan ki raksha karta hai, sharir mein praan urja ko jagata hai aur rog se ladne ki shakti deta hai.
🧿 Evil Eye & Negativity se bachav ke liye — Chant Baglamukhi Stotra ya Kal Bhairav Stotra.
In mantron se aap apne charo taraf ek energy shield banate hain jo aapko buri drishti aur dusht sankalpon se raksha karta hai.
📚 Gyaan aur Buddhi prapt karne ke liye — Chant Saraswati Mantra.
Yeh mantra un sabke liye hai jo kisi bhi field mein seekhna chahte hain, grow karna chahte hain, aur apne gyaan se duniya ki seva karna chahte hai.
There are thousands of mantras which serve for different areas and have different healing potential.These are only few which we have discussed it today .Toh kya soch rahe hai app ,suruyat kare mantra healing process ajj se hi ?
Mitraon, jab aap mantra chant karte hain… toh yeh ek aatma-varta ban jaata hai… ek conversation aapke aur divine ke beech.
Aap khud ko dubara se paate hain.
Khud se milte hain.
Aur healing wahi se shuru hoti hai.
🧘♀️ So today, take just 5 minutes for yourself. Sit in silence. Choose the mantra that your heart is calling for. Chant. Feel. Heal.
🌈 Zindagi ke rang tabhi roshan hote hain jab hum apne andar ke andheron ko roshni se bhar dete hain. Aur mantra chanting woh roshni hai jo har andhera mita sakti hai.
✨ Aaj ka episode aapke liye ek naya pehlu le aaye, yahi dua hai.
Agar aapko yeh podcast pasand aaya ho —
Toh rate zaroor karein, apno ke saath share karein, aur follow karein for more soulful conversations.
Main hoon Parna Banerjee, milungi aapse ek naye roop, naye rang ke saath ,ek aur naye episode ke sath— tab tak ke liye yaad rakhiye: Khushiyon ke source app ho 🙂 wohee se suruyat hai.
Happy You, Happy Home, Happy World.