LYRICS=Umrr 7,
Bekhabar kal aur apne kaal,
Chala wo rakh apni chaal,
Chota kad aur theek rakh wo apna haal,
Peeth par bag ko bana dhaal,
Tha woh apni maa ka laal,
Maa ki dua aankhon me sambhaal,
Aur padhne chala woh school,
Rakh halki chaal,
Garibi ka bura haal,
Papa the bahar salo saal,
Aur pai pai sambhaal,
Bhejte saalo saal,
Maa baap dekhe na school,
Par dete padhai ki misaal,
Padh mere laal,
Aur wo gaya school,
Rakh bebak apni chaal,
Din kat wo padhta,
Khoya kuch apne khayal,
Umrr choti aur padhai jaisa जाल,
Janjaal lag Padhai aata usko kuch aadha hi,
Maya lagta bate jo kahi,
Idhar udhar ka dhyan aata zayda hi,
Aur wah choti umrr sikhata kaida nahi,
Aisa waisa kaiyoo ki batee kahi gayi,
Wo umrr 7,
Log 8,
Unki baate anek jaisa 60,
Khoya woh khud aur aata-haas,
Khel kood ka jayda hi aihsas,
Padhai ka kara prayas,
Par umrr choti,
Niyat na khoti,
Masum chahra,
Sahra karta wo aaina,
Uske aks ka wo muwayna,
Baate jo uski kahi na,
Aur doosro ki baate wo samjha na,
Wo choti si umar,
Bebak Samajh ka kadar,
Aur sahi galat ka antar na kar,
Bas seekhkar rahta wo datkar,
School jakar padhkar,
Aur apne soch me,
Thoda khokar thoda haskar,
Masumiyat bikher,
Apni umrr me dhalkar....