LYRICS=Haath tha sar pe,
Aihsas tha na kab se,
Bezubaan aur naasamajh tha jab se,
Muskurata tha hass ke,
Jab haath phirti thi sarr pe,
Woh nikle jo saher the,
Aur baitha tha mai ghar pe,
Saher jo kaher de,
Par beta tha ghar pe,
Rupiye thore jo the jeb me,
Par haare na the,
Bhale chaath na ho sar pe,
Soye the footo pe kuch kast sah,
Aur acchi cheeze la ghar pe beta hass de,
Papa jo aaye the,
Sang khusiya laye the,
Aur din ki kast sah woh muskura aaye the,
Apni bhook chura roti apni khilaye the,
Aur bhook meri mita kahte,
Beta tu khata kyu kam itna,
Bada hoga khayega jitna,
Aur bhook rakh wo adhoora apna,
Sapna woh din the,
Kuch haath sahra apni kandho pe sulaye the,
Cycle pe jo bitha ghumaye the,
Aur raat raat na soo chup chap jo roye the,
Mere sapno ke liye khoye the,
Aur thora jo,
Bete ke liye jo lade the,
Meri baato ko apna bana ade the,
Duniya ka na sune the,
Kahte unka kaam hai kahna,
Karna jo tera mann kahta hai na,
Peeche mai khada hu,
Phir chinta tujhe kyu karna,
Papa mera kya kahna,
Kapde na naye pahente,
Par bete ko naya kapde,
Tayohar par hamesha dete,
Papa mere sapne apse,
Aur ayyana(mirror) mai apka,
Sada muskurate,
Ap rahe aur muskura mai dunga bina kahe...