Ab ye toh laazim hai ki waqt ke sath sath tawajjo ghat jaati hai
Kuch toh kaam ke silsilon ne uljhaye rakha hai, kuch toh maslon me zindagi bat jaati hai
Kabhi wo on hai toh kabhi mai off iss khatir
Screen par dastak dete dete shaam se raat kat jaati hai
Ab wo sochta bohot hai aur likh kar Mita deta hai baaten
Mere puchhane ka fayda hi kya ki jab batana hi hota toh fir mitaya hi kyun
Mujhe batani thi kuch taqleefen jise wo Mita nahi sakta fir afsos iss baat ka ki bataya hi kyun