Listen

Description

Kuch hai nahi hamare bich aur naa hi ektarfa hai
Naa hamare charche hai na hungama barpa hai.
To phir milane ka intezar aur phir milane par khushi
Iss bhagate waqt me nazare uss par hi kyun ruki

Ye sawal to Khair jaayaz hai par mai iska jawaab nahi chahata
Agar sirf chahane se milta phir mai kya nahi chahata
Uske haan ki to Khair naa chahat hai na gunjaayish
Pyaar na ho naa sahi par Kam se kam uski naa nahi chahata