Look for any podcast host, guest or anyone

Listen

Description

Aaj khush na hua ayena kyon ‘sahil’ ki muskaan se


Kya shirin na nikle alfaaz us ki na gawaar zubaan se




Udaas kyon, vajh kya bulbul teri aaj kh-moshi ki


Aayegi phir bahaar zuroor kyon darey hai tu khazan se




Mit ti hai tishnagi magar, ahistah ahistah zamin ki


Girey hai jab haule haule baarish aasmaan se




Sookha dil aur sookhi jaan hai bujhe na jis ki pyaas


Baithe lab e darya bhi, aab e joo e ravaan se




Yaad rahey insan tujhe bas faani hai yeh dunya


Na guzeer hai kuchh nahin, uth te hain sab jahan se




Dil ke jazbe dil hi jaane, maalik hai woh apna


Udaas hai man kis ka kis ka aaj dil e sozaan se




Sar jhuka kar chalta hai, haath uth te nahin dua ko


Ya Rab, haal hai yeh ‘sahil’ ka teri nematon ki giraan se




Muskaan. Smile


Shirin. Sweet


Na gawaar. Unpleasant


Tishnagi. Pyaas


Lab e darya. Darya kinare


Joo e ravaan. Flowing stream


Faani. Mortal


Na guzeer. Indispensable


Sozaan. Burning hurt sad


Nematon. Kindness mercies


Giraan. Burden. Costly weight




Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written


permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted


via www.ashoksawhny.com