Listen

Description

Aaj sanam mila khuda nahin woh to mere paas hai

Jab chaman men shaadmaan hai khaar to gul kyon udaas hai

Aaye they log janaze per duaen saath liye huay

Mayyiat nahin jaanti thi magar kaun us ke aas paas hai

Takte rahey log usey kaun jaane kis umeed men

Lena dena na tha usey, kaun aam kaun khaas hai

Pyaas men hawas hoti nahin, pyaas to pyaas hai vaaiz

Tishnagi men nihan to ek pur sukoon mithaas hai

Dil milen to baat baney is baat per ghaur kijiye

Na samajhiye har tabassum ko ke woh ikhlaas hai

Mohabbat ka jazba to muamma hai, naaseh

Wafa hi gar kaafi nahin phir kya uska asaas hai

Naseem nahin simoom hai, bahaar nahin hai khizaan

Waqt e ikhtetaam hai ‘sahil’, kya tujhe ehsaas hai

Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written

permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted

via www.ashoksawhny.com