Maazi dekh musafir, mustaqbil ho to dikhaun
Logon ko kya manana, pehle khud ko to manaun
So rahi hai duniya bhala kis ko mein Uthaun
Khuftah to mein khud hun, ouron ko kya jagaun
Zabtِ-e-giryh se bhar gaya hai dil logo
Mein sale ashk ko kaho kaise bahaun
Kabhi janbian tha badan, tarap dil mein thi
Us joshِ-e-junoon ko ab kaise tharthraun
Tanhai ki sada apni, dil rota hai tanha
Tanha dil ko batao mein kis terhan behlaun
Ja chuke hain dost yaar, kise apna kahin
Koi to kaho kahan jaun, kise bulaun
Is shore o ghul ke aalam mein fursat hai kise
Ujdhe hui yeh daastaa’n, mein kise sunaun
Shab ka yeh snnata kuch keh raha hai mujh se
Ab so ja tu bhi ‘Sahil’, aa tujhe mein sulaun