Alfaaz, saade hi istemaal kijijiye
Zubaan ka bura haal na kijiye
Vaise, sunta hai kaun baat kisi ki aaj
Kathin o daqeeq ka istemaal na kijiye
Jee li ho zindagi gar pur surur, phir
Pas e urooj us ka zawaal na kijiye
Haq sab ka hai pura sahi khayalon per
Vaaiz mian, mazeed sawaal na kijiye
Saadagi men inkisaari bharpoor hai zurur
Akad, tunnuk partau, istemaal na kijiye
Ghalat na hoga kehna tehreer meri hai saada
Aasaan zaban ka ‘ sahil’ zawaal na kijiye
Daqeeq. Difficult
Pur surur. Contented
Pas e urooj. Post the prime
Zawaal. Ruin. Decay
Vaaiz. Preacher
Mazeed. Zyada
Inkisaari. Humility
Tunnuk partau. Short-lived reflection
Tehreer. Writings
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com