Armaan na rahen to phir zindagi kya hai
Imaan mohkam na ho to bandagi kya hai
Insan se ho jaayen gar taarey naraaz
Phir chamakte falak ki tabindagi kya hai
Sair kariye chaman ki per dil ho be zaar
To phoolon ki kehiye phir taazagi kya hai
Hijaab o naqaab ki jagah hai apni, per
Haya na ho dil men to sharmindagi kya hai
Nazar se nazar na miley to mulaqaat kaisi
Dil se dil na miley to wabastagi kya hai
Masrufiyat ho aisi ke tum khud ko bhul jao
To batao daulat mando aasoodagi kya hai
Aab e kauser se pi kar bhi pyaas na bujhi
To bata tu vaaiz phir tishnagi kya hai
Mil jaaye khuda gar dair o haram men, phir
Mahv e khuda dervesh ki deewanagi kya hai
“Sahil”, sar na jhuken aur ehtiraam na ho
To peeri kya aur shaistagi kya hai
Mohkam. Pukka. Firm
Tabindagi. Brightness
Wabastagi. Attachment. Affinity
Asoodgi. Comfort. Contentment
Kauser. The River/ fountain in Paradise
Vaaiz. Preacher
Tishnagi. Pyaas
Ehtiraam. Respect. regard
Peeri. Old age
Shaistagi. Manners decency culture
Notice: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com