Listen

Description

Baat faasilon ki  mat kijiye, hausilon ki kijiye

Dooriyon ki baaten kyon, qurbaton ki kijiye

Yaqin aur etimaad, na insan na khuda per

Dil figaar baithe sab baat kin hausilon ki kijiye

Rakhiye dur faasilon ko, nafraton ko bhi

Dil se dil milaaye dosto, baat ulfaton ki kijiye

Pagdandiyon ki justaju hai raftaar e irtiqa ko

Unhin ka zikr kyon hota hai baat raaston ki kijiye

Subh o shaam se ghafil jalwon ke charche

Ai zulmaton se ghirey logo baat ujaalon ki kijiye

Ghazab ki shai hai pesh raft khud se dur insan

Aur tum kehte ho ‘sahil’ baat nazdeekiyon ki kijiye

All material in this product is the intellectual property of

Ashok Sawhny and  cannot be used in any way without the written

permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,

The author is always open to proposals and can be contacted

via www.ashoksawhny.com