Bahaar ya khazan tujhe muskurana hai
Ai Baghbaan, parcham khushi ka lehrana hai
Suna hai logon ko kehte ‘sahil’
Hoshmand nahin tu bara deewaana hai
Chaman men gul kuchh naaraaz they aaj
Abhi pursish hai baqi unhen manaana hai
Bulbul nahin, mausam saazgaar nahin,
Ab khud hi gaana aur dil ko behlana hai
Na aana chaaho na sahi, yaro
Dil to karta hai, yeh kaisa bahana hai
Na bahami mohabat na ibadat teri
Ya khuda, kya yeh shaitaan ka zamana hai
‘Sahil’, suraj se shikwa ab kaisa, bata
Faramosh hai yaro, usey sab ko jagana hai
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com