Bahot door
Na dhundna mujhe haafize mein apne
Ke khayalon se hun main bahot door
Karo tasavvur to dil hi se karna
Ke zehan se dil hai bahot door
Chaand sitaron ko dekho
Raushan hain kitne
Zameen se kitne woh door
Falak hai farozan
Zameen pe andhere
Falak se zameen kitni door
Manjhdaar hain musafir har so tufaan
Aur kashti hai kitni door
Na puchh faasle tu hum se mallah
Aur sahil hai kitna door
Qurbaton ko na dekha tha aise kabhi
Nazdikiyon ko yun itna door
Kya hua hai aaj zamane ko ‘Sahil’
Kyun lagta hai yeh aaj itna door
Website : www.ashoksawhny.com
Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil
Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/
Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet
Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)
https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV
Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )
https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi