Baraste nahin hain baadal angaaron ko dekh kar
Milti nahin hain manzilen rahguzaron ko dekh kar
Hunar chahiye sayi chahiye mehnat o mushaqat bhi
Mahal nahin bante hain kabhi patharon ko dekh kar
Mustaqil nahin hai kuchh bhi baqa bhi to nahin
Khazaan se faramosh na hona baharon ko dekh kar
Murjhaate gul se puchhiye baharon ke baarey men
Aati hai taskeen kashti ko kinaron ko dekh kar
Mat dikha ai vaaiz Tu khuld ke nazaarey hamen
Kab bhara hai dil kisi ka nazaaron ko dekh kar
Kahan gayin woh tasveeren kidhar woh zamaane aaj
Jawab nahin milte bande deewaron ko dekh kar
Gar bulandiyan hain shauq tera to kuchh kar ke dikha
‘Sahil’, azamaton ke khwaab na bun sitaron ko dekh kar
Rahguzaron raaste
Sayi effort. Koshish
Baqa. Immortality. Eternity
Faramosh. Oblivious
Taskeen. Sukoon. Chain
Khuld. Jannat
Azamaton. Heights
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com