Be niyaaz kaun hai sach bataye koi
Rishton ki buniyaad bhi samjhaye koi
Zid, ana, pa ba jaullan hon, varna
Naam rishton ka phir mitaye koi
Hasraten o armaan, maujen hain zeest ki
Koi sahil se milwaye aur dubaaye koi
Chaar din ki zindagi hai, kya fayeda
Gar roothon ko ja kar na manaye koi
Kahin jashn, kahin janaza dekhiye
Naale kahin, kahin naghme sunaye koi
Uth te hain valvale, sulagte hain dil
Ab aag na ja kar lagaye koi
Maskhari ka theka liya hai, magar
‘Sahil’, mujhe bhi to aa kar hansaye koi
Notice:All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com