Listen

Description

Bulao murghaan e chaman ko, baab e qafas kholen hum

Ghaafil kyon hai baaghbaan, bulao kuchh to usey bolen hum

Betaab guzri hai raat bhi be neend tadpe they shab bahot

Ab rokey subh ki kiran koi, kuchh der to aur so len hum

Naam darya ka nadamat hai baithe hain hum lab e darya

Chalo, ek ek kar ke dagh e daaman ro ro kar ab dho len hum

Bikhre moti har su aaj kuchh nakli aur kuchh aankhon ke

Gira kar do chaar moti yaro chalo maala ek piro len hum

Neend apni, khwaab apne, taabeer bhi to apni 'Sahil'

Thak gaye takte taaron ko ab khwaab apne sajo len hum

Murghaan e chaman birds of the garden

Baab a qafas pinjre ka darwaaza

Nadamat repentance

Taabeer interpretation