Chalte hain jo abla pa reton per, ai 'sahil'
Kaunsi hai bataye koi aakhiri un ki manzil
Baat yeh un ki nahin hai, nahin hain jo deewane
Har shaam jo jaate hain shaikh saab ki mehfil
Aasan kya aur kya mushkil, mauzu falsafe ka
Aasan nahin hai kuchh bhi, kuchh bhi nahin mushkil
Samjhen gar aasaan si baat bande khuda ke agar
Faani hai yeh dunya saari, kuchh nahin mustaqil
Talatum se jo bachaaye hai woh yehi hai kinara
Sumunduron ka raazdaan naam jis ka hai sahil
Sab ka hai paasbaan, mushtaaq yeh kashtiyon ka
Jisey reton ka hai sahara, pukhtah hai woh sahil
'Sahil', yeh lamha, yeh nafas, yehi hai sarvat teri
Na shaam, na shab, na hi kal ki subh, hai tera mustaqbil
Mauzu. Urdu
Raazdaan. Confidant
Paasbaan. Chowkidar
Mushtaq. Desirous. Wanting
Nafas. Saans
Sarvat. Possessions
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com