Listen

Description

Shab-e- furqat hai, kya karenge khud ko sanwaar ke
Dil ghamgeen hai, na sunaaoo naghme bahar ke

Yaaron ne kiye wadey hum se intzaar ke
Chand khawab dekhe hum ne, samundar ke paar ke

Ro kar guzari shaam, phir ashkon ka kya shumaar
Mizaan mein nahin toltey, gham dil figaar ke

Haazir hai dil o jaan, kaho kya pesh karein
Mangte ho shahadat kis qoul jaan Nisaar ke

Bohat zakhmi hai jigar, daman hai taar taar
Mat suna ‘Sahil’ to qisse dil e daghdaar ke

Note: All material in this product is the intellectual property
of  Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com