Daraaren na theen, tha pukhtah chaman yeh apna
Kyon bikhra sa hai haseen darpan yeh apna
Kabhi darakhshaan falak tha raushan sitaare
Udaas aaj itna kyon hai gagan yeh apna
Gul o khaar o shajar malkiyat hai sab ki
Na gulaab kisi ka na hi saman yeh apna
Dekhen kyon mausam jahan ke hum dosto
Khubsurat hai jab sawaan yeh apna
Saazish hai kis ki sochta hun main
Kaise loota gaya hai chaman yeh apna
Giley kisi se kis baat per jab
Hum hi se rootha hai tan man yeh apna
Maazi ki yaadon men dooba hua hun
Ab guzarta hai ‘sahil’ yun jeevan yeh apna
Pukhta. Pukka
Darakhshaan resplendent
Falak. Sky
Khaar. Thorn
Shajar. Tree
Malkiyat. Property
Saman. Jasmine flower
Saazish. Chaal
Notice: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com