Dasht o sahra qabool ho humnawa ke liye
Jaan qurbaan ho dosto Rab ki riza ke liye
Hangama hi hangama hai jidhar dekhiye
Kya na karen mil kar hum amn ki dawa ke liye
Kya maut ka kaashaana hai man insan ka, yaro
Kyon hoti hai dil men chaah kabhi qaza ke liye
Sar jhuka kar chalta hai per kaafi nahin hai yeh
Kya shara’it aur bhi hain vaaiz ilteja ke liye
Bojh itna hai ‘sahil’ per teri nematon ka ya rab
Haath us ke kyon uth te nahin ab dua ke liye
Kashmakash men hai woh banda kya karey bata
Maula, qalb e momin dukhi hai, kafara ke liye
Dasht o sahra. Wilderness. Desert
Humnawa. Accordant
Rab ki riza. Gods mercies. Agreements to entreaties
Amn. Peace
Kaashaana. Home
Qaza. Maut
Vaaiz Preacher
Ilteja. Entreaty
Nematon. Mercies blessings etc
Kashmakas. Dilemma
Qalb e momin. Heart of the Believer
Kaffarah. Penance. Redemption
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com