Dhadkata to wo hai, hararat bhi to samjhe koi
Dil ki kaifiyat o ruhaniyat bhi to samjhe koi
Haath milane ka mafhum khub jaante hain sab
Magar, bhai chaara aur unsiyat bhi to samjhe koi
Khuda ki inayat o mehr ki taalib hai dunya
Us ki qu’wat aur
qahr bhi to samjhe koi
Yaro, chaman ki sairon ka lutf to uthao, lekin
Kabhi phoolon ki nazakat bhi to samjhe koi
Mahabat mahabat unsiyat ke qissey, bas
Aaj har su kyon hai nafrat bhi to samjhe koi
Aaj to sirf ujalon ki baaten hotin hai, ‘sahil’
Zaalim kitni hai zulmat bhi to samjhe koi
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com