Dil ke naghmaat sunao to koi baat baney
Tasweeren aaj ki mat dikhlao to koi baat baney
Sirf faryaadi baney rehne se haasil kya hai
Gar hangaama kuch uthao to koi baat baney
Andherey hi andherey har su hain dekhiye
Rukh se zulfon ko hatao to koi baat baney
Dekhi hai bahot main ne firasat is jahan ki
Ab mujh ko deewana banao to koi baat baney
Mir o Ghalib ki ghazlen na sunao mujh ko
Apne aap se milao to koi baat baney
Aaj ba haya kaun hai zamane men ‘sahil’
Tum nazren nazron se milao to koi baat baney
Firasat. Wisdom
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com