Dil na roye to phir pashemaani kaisi
Na ki jaaye be saakhta to mehrbaani kaisi
Rooh ka zahn se faasla milon door
Fikr se mahroom to phir roohaani kaisi
Jeet kaisi, shaamil jis mein dhoka ho
Her pher to her pher hai, kaamraani kaisi
Talatum, tufaan, zalzalzale, sahil ghuroob
Khuda naraaz ho to hairaani kaisi
Zulmat mein soney waalo aql ki suno
Bujh jaaye sham’a to raat mastaani kaisi
Jo bhool jaaye khud ko masrufiyat mein apni
‘Sahil’, ghaafil woh kaisa, uski nadaani kaisi
Website : www.ashoksawhny.com
Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil
Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/
Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet
Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)
https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV
Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )
https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi