Dil naazuk hai bahot jab ghabraye tab ghabraye
Aur tabassum bijliyaan jab giraye tab giraaye
Tere rukh se nazar hatey to chaand ko dekhun, jaanam
Falak men taaron ki baari jab aaye tab aaye
Neend se kya shikayaten, palkon se kya giley
Meri khuftagi mujhe jab sulaaye tab sulaaye
Yaaron se kya kahun maazerat karun main kya
Muamla waqt ka hai, woh jab milwaaye tab milwaaye
Umeed ka kya bharosa haqeeqat to hai nahin
Khwaabon me chaahe woh jab jhulaaye tab jhulaaye
Raabata chaman men to baghbaan ka sab se, per
Baat tabassum ki, to gul jab muskuraye tab muskuraye
Duniya bhi to ek circus hi hai, ringmaster kahin joker
Hum to hanste rahenge dosto yeh jab rulaye tab rulaye
Zindagi se to main bahot khush hun ‘sahil’, har haal
Dekh lenge maut ko bhi, woh jab aaye tab aaye
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com