Listen

Description

Dubti kashti ko to sahil ka sahara haiUmeed ko thaam lo, ke us ka bhi kinara haiKitne hain falak mein chaand sitaare najumiBata, kaunsa tera aur kaunsa mera taara haiDoor itna ja chuki hai dunya sukun se vaaizKe roshanara dil mein aaj kul andhera haiJisey dekho woh khwab qabze ke hi dekhta haiKya aaj taskheer e jahan hi sab ka naara haiSher na samajh khud ko, asad to sirf naam haiTujhe koi aalim hi bataye shaikh kya lafz e isteara haiYeh tabaahi nahin to kis shai ka nazaara hai‘Sahil’, kya Rab bhi ab insan se baazi haara haiWebsite : www.ashoksawhny.comYoutube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoetSpotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZVAshok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi