Falsafe ki baat chhord haqeeqaton ki baat kar
Hooron ko sambhaale koi aur tu zeenaton ki baat kar
Dukh dard ke qissey aansuon ke sailaab
Tu roz marra ki zindagi, muhabaton ki baat kar
Firasat ki baaten tujhe zeenat nahin deteen
Tu jawaani aur us ki aala ghaflaton ki baat kar
Zeest ki pecheedagi ki baat kar, masaail ki baat kar
Pahelion ki, daraaron ki marammaton ki baat kar
Kaunsa khuda, kiska maula, naam kya uska
Jaan ba lab hai tu bande, shiddaton ki baat kar
‘Sahil’, Suqraat tu hai nahin , aflatoon bhi nahin,
Seedhi saadi zindagi , tu puja o aqeedaton ki baat kar
Note:All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com