Tumse to hum mil liye ab pyaar se mila do
Ajnabi woh kaun hai us yaar se mila do
Mil liye gulon se hum unki doghli mehak se
Chubhan jis ki pyaari ho us khaar se mila do
Aawaragi ke shauq se ab door hain hum bahot
Pagdandiyon se kyon rahguzaar se mila do
Udti un sabaaon se nahin waasta ab koi
Tum haseen kisi daayimi bahaar se mila do
Fasaana e maazi ke siwa bacha kuchh nahin
Koi to us tasavvur e gard e gulzaar se mila do
Muztar hai ab dil bahot reton per, ai, ‘sahil’
Siwa chain ke kuch nahin, tum qaraar se mila do
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com