Gali gali faqir tha, har gali ki thi koi baat
Ghurbat men sukun tha, na jeet na kisi ki maat
Har lab pe naam rab ka tha gali gali men wahan
Kamaal ki woh galiyan theen suni thi jinki baat
Chal diye hum galiyon jaanib sun kar yeh sab baaten
Muntazir, ke hongi phir faqiron se bhi mulaqaaten
Dekhne ki jaldi thi, woh taskeen mehsoos karne ki
Guzarti theen jab be qaraar hamari lambi raaten
Hairaan na huay dekh kar bin daulat ke woh log
Fikr na thi jahan ki jinhen, na they zindagi ke rog
Subh shaam ke jalwe sab saadagi men lipte huay
Soz o gham nadarad, yakta they woh ghazab ke log
Jin ka aur koi nahin, jin pe kuchh nahin, khuda un ka yaar
Wohi mallah, wohi sumundur, wohi un ka patwaar
Woh khuda jo nakhuda bhi hai, woh maalik is jahan ka
Wohi jo tujhe bhi ‘sahil’ ik roz pahunchayega us paar
Gharib ke dil men aur lab pe naam sirf rab ka hota hai
Woh jo munfarid falak paar, woh maula sab ka hota haI
Usi per yaqin tha sabka un faqiron ki galiyon men
Khaaliq e kul jo sab ka tha, paasbaan sab ka hota hai
Notice :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com