Gar laut aaye kal shabaab to kya kijiyega
Bhool jaayen gar ahbaab to kya kijiyega
Neem shab ghar aayiega to giley phir kaise
Na khule qafas ka baab to kya kijyega
Qismat na sumundur ke ravvaiye ki khabar
Yakdum aa jaaye sailaab to kya kijiyega
Phool to phool hain intekhaab phir kaisa
Gar rooth jaaye kal gulaab to kya kijiyega
Himmat to na haari hum ne ‘Sahil’ kabhi
Ho shikasta dil betaab to kya kijijyega
Shabaab. Jawaani
Ahbaab dost
Baab.darwaaza
Neem shab.
Aadhi raat
Ravaiye. Behavior
Intekhaab selection
Shikasta defeated
Betaab restive
Notice : All material in this product is the intellectual property ofmAshok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com