Gar riza baadalon ki ho to mumkin baarish ho jaaye
Mil jaaye aaftaab agar to jaane kya saazish ho jaaye
Mah o anjum o aftaab, gar yak ja hon kahin, to
Hairatzada kaisi phir yeh jaane gardish ho jaaye
Jalte dekh parwaane ko, haal dil ka phir jaane kaun
Jazba uthe mohabat ka to shayad sozish ho jaaye
Firasatmandi dekhi teri, firasatmand hum ne shaikh
Naseehat zameer ki maan le, mumkin daanish ho jaaye
Saadagi kab samjhenge, ‘sahil’ kashish us ki kab
Saada rukh bhi chand ke aks se, mehwish ho jaaye
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com