Gar zameer ko bujha diya to jism ko jala do
Ibadat na ho tum se to phir khuda ko bhula do
Rehti nahin hai raah raushan kisi ki har aan
Ho purdah zulmaton ka to baatin ki sham’a jala do
Shaan o shaukat kis liye kaakh o gulzaar kis kaam
Na aa sako gar kaam kisi ke to naam o nishan mita do
Na sahi khula chaman ek band qafas hi sahi
Andaleeb na ho to kya hua tum hi gunguna do
Dil naazuk hota hai bahot danwaandol bhi zurur
Samjha bujha ke usey yaro tum faulaad bana do
Sun kar dil ki likhta hai zahn us per hai nahin
Na samajh hai ‘sahil’ dosto tum hi usey samjha do
Zameer. Conscience
Zulmaton. Andheron
Baatin. Within. Inside
Kaakh o gulzaar. Palace n garden
Qafas. Pinjra
Andaleeb. Bulbul
Faulaad. Steel
Notice: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com