Jab ranj o alam mein dooba hua ho dil
To nuktacheen kyon hoga phir gham e dil
Sumundur ki maujon men beh jaaye jo
Usey talaash kya hogi phir kahan hai sahil
Tanz o tanqeed yeh andaaz e bayan kis ka
Woh pathhar jo baatin mein hai narm dil
Kh-mosh hai baaghbaan be sada hai bulbul
Batao bahadur hai kaun aur kaun buzdil
Dil kis ka hai narm aur sang woh kis ka
Kya kabhi rotey nahin dekhe tum ne sang dil
Kyon anjuman se uth kar aya hai tu ‘sahil’
Kya udaas na hogi ab teri woh mehfil
Note :
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com