Gham ne ki jab rukhsati
Dil ne phir salaam kiya
Halka hua jab bojh uska
Us ne phir aaraam kiya
Sab ko raahat chahiye
Kuchh waqt khud ke sang bhi
Haseen hai rang gulaab ka
Per chahiyen aur kuch rang bhi
Tamasha hai jahan saara
Sukoon se sirf na chale kaam,
Hai qataar musalsal armanon ki
Kuch to hum ne hai kamaana naam
‘Sahil’, kaun jaanega tujhe
Gar hangame na machaye ja tu
Tasalli naam to hai parindon ka
Bas, faakhte hi udaaye ja tu
Note:
All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com