Haathon men jaane kiske hai kaunsi lakeer kya
Qismat ke muqabil kya ghareeb aur ameer kya
Jaama zar ka mubarak ho badshah ko, magar
Jo odhey na libaas iman ka woh faqir kya
Tamsil aur tashbih kya muqabile hain fuzul
Maqaam sab ka apna hai, shaair aur dabeer kya
Jab aankhen hi karti hain ailaan husn ka, phir
Rangsaaz o mussavir banate hain tasweer kya
Shahkaar, shahkaar hai la saani o be misaal
Per siwa khuda ke ‘sahil’ hai benazeer kya
Tamsil tashbih. Comparisons
Maqaam. Place
Dabeer. Writer
Musavvir. Tasweer banane wala
Be misaal. Not another like
La saani. Beyond compare
Be nazeer. Incomparable
Note:All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com