Hangaama us ka naam tha
Hangaama hi paighaam tha
Har shaam wohi maqaam tha
Hangama e subu o jaam tha
Haavi tha jis dil per shaitaan
Us dil men qatl e aam tha
Hungaama khuley aam tha
Kisi shai ka na koi daam tha
Bazaar woh aap ka janab
Puchhna wahan haraam tha
Saqi Sultan us jahan ka
Har shakhs surur ka ghulaam tha
Bargashta e yazdaan magar
Woh banda pur ehtiraam tha
‘Sahil’, khanakte pyaale they haseen
Kya tera hi woh nizaam tha
Maqaam place
Pur ehtiraam. Respectful
Nizaam. Arrangements
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com