Hona taalib e ilm yaqin o imaan ka
Yeh hi aala darja hai har insan ka
Saraab hai ya khwaab, ya jo bhi hai zamin
Yeh apni hai, yaqin kya ho aasmaan ka
Kis per kab aa jaaye yeh kaun jaane, yaro
Aitmaad kya kijiyega dil e naadaan ka
Tera shukriya karte hain shaikh hum zurur
Per, kya tu bhi karta hai Rab e mehrbaan ka
‘Sahil’, na kiya apnon per bharosa gar tum ne
To aitbaar kya karogey kisi mehmaan ka
Taalib e ilm. Pupil of faith
Aitmaad. Bharosa
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com