Hum ko hum se mila de koi
Naghme puraane suna de koi
Main zulmat men chal kar thak gaya hun
Rahguzar men sham’a jala de koi
Kaise hain zakhm is dil ke mere
Mujh hi ko dekh kar bata de koi
Na waaqif ho asl ki duniya se jo
Usey saraabon ki duniya deekha de koi
Talkhi woh maazi ki, ai naaseh
Bhula de, varna mita de koi
Goonjti hai ab bhi kaanon men mere
‘Sahil’, Ma ki woh lori suna de koi
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com