Hum kya hote
Gar waqt na hota to hum kya hotay
Aur khushi na hoti to gham kya hotay
Saba , na Naseem , na hawa kahin
Us fiza mein kaho dam kya hotay
Gar ishq na hota na shaheed koi
Na hotay majnu to sanam kya hotay
Mout ka reh shukar guzaar to insaan
Wujood fana na hota, to janam kya hotay
Mat koson yaaro tum dastay khuda ko
Uss ka qehar na hota, to karam kya hotay
Maula na hota na hoti ibadat
Phir der kya aur haram kya hotay
Samandar na hotay to Sahil na hotay
‘Sahil’ phir naqsh e qadam kya hotay
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com