Ai fanaa, aaj phir tera kamaal hua
Mohammad Ali ka Irtihaal hua
Ayyashi mein bhoola hai insaan tujhe
Aaj phir, achha insaan paayemaal hua
Khudaaya, parinde tere to badle nahin
Tere bashar ka kyun yun zawaal hua
Fitrat fanaa hai har jaan ki yaro
Phir kaho, javedani ka kya sawaal hua
Aftaab ki surkhi se sharam naak chaand
Odhe baitha hai chaadar, kya visaal hua
Maseeha, se le kar raam talak
Nek insaan ka jeena kyun muhaal hua
Daawaydaar firasat ke har mod par hain
Phir kyun yarab, jahan be haal hua
Ghaarat gari hai aisi, sookha dariya dekho
Ashk falak ka Araq-e-Infial hua
Sunte hain kamaal ehle siyasat ka
Ek arsa hua hai lafz hu, istemaal hua
Tu zindah hai ‘Sahil’, zindah hi reh
Hum to samjhe thay tera bhi intqaal hua
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com