Title - Jaan Ki Baazi
By @AshokSawhnySahil.
#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari
Jaan ki baazi lagaane walo
Jaan to musta’ar hai
Naqsh e pa sahil per kya, jab
Manzil hi us paar hai
Takte hain falak ko sab
Kya jannat us paar hai
Kya basta hai khuda wahan
Woh jo sab ka yaar hai
Maana firasatmand ho shaikh
Per, rab to tum se hoshyaar hai
Mominon ka, kaafiron ka
Wohi ek parwardigaar hai
Kabhi to maano baat hamari
Har baat per kyon inkaar hai
Zubaan per aitbaar kya
Jab ashk hi ghamkhwaar hai
Aankh na jhapke phir batana
Ba safa kaun, kaun gunahgaar hai
Yaro, shaikyaan kis kaam ki
Ghalib to maut ki talwaar hai
‘Sahil’ tu hi samjha in uljhanon ko
Gar sarwat kuchh hai to pyaar hai
Website : www.ashoksawhny.com
Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil
Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/
Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet
Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)
https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV
Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )
https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi