Jab bhi tapke asnsu apne, yaad aaya phir shabaab hamen
Woh mah o anjum, subh ki shabnam, guzre kal ke baab hamen
Tifli ke woh beetey din, jab dagmagaatey they qadam
Roothey aur woh hanste pal, yaad aaye woh ahbaab hamen
Bahaar hi bahaar thi, nishan khizan ke they nahin
Gul aur hum they pur sukun, miley na behtar asbaab hamen
Miley dars shabaab men un buzurgon se tab aise
Hum samjhe maani hayat ke, na tang kiye saraab hamen
Zamana hi kuch aisa tha, woh baradari thi fizaon men
Miley tab be saakhta, sab sawalon ke jawab hamen
Maula ho jab nakhuda har kashti e safar ka
Phir fikr kya talatum ki, miley jo miley sawaab hamen
Nikle yeh alfaaz ‘sahil’ baha kar aaansu aab ke
Soch gar karnI padti paar, nadi lahu ke sailaab hamen
Shabaab. Youth
Tifli childhood
Ahbaab. Friends
Asbaab. Things properties
Dars. Lessons
Saraab mirage
Be sakhta spontaneous
Nakhuda. Oarsman
Talatum storm
Sawaab. Compensation reward
Sailaab. Flood
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com