Jab fitrat insan ki us ka mar jaana hai
Phir lafz e maut se kyon fitrat dar jaana hai
Na kar tu koshish usey jaaney de, saqi
Hosh ya madhosh rind ki fitrat ghar jaana hai
Ghuncha banta hai jab, tukhm milta hai khaak se
Ghunche ki fitrat, phool ban kar sanwar jaana hai
Jaanaan, fitrat kisi aur ki kya hai khuda jaane
Per, teri to mujh per bas lagana harjaana hai
Usey rok kar to dekhiye minnaten kar lijiye
Magar, waqt ki to fitrat us ka guzar jaana hai
Dhadakta hai dil zindagi ke hukm bataur
Vaise, naazuk hai bahot aur fitrat ghabrana hai
Vaaiz, fikr kyon karni iltiyaam ki, bata
Jab zakhm ki to fitrat us ka bhar jaana hai
Jaana to hai ik roz ‘sahil’ sab ko jaana hai
Lekin, baat to yeh ke kuchh kar jaana hai
Fitrat. Nature. Disposition tabiyat
Rind. The Drunk
Tukhm. Beej
Notice :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com