Jab hum hi na honge to yeh afkaar na honge
Jo ho phir jahan men hum gunahgaar na honge
Kya hum hi se ho rahen hain muaamle sab kharaab
Shayad hum na hon to phir yeh aazaar na honge
Kya hum hi sabab hain hangamon ke har ja
Hum na rahey to kya yeh shahryaar na honge
Kya ho raha hai vaaiz jahan men hamen bata
Hain jung ke tassawwur, kya kal gulzaar na honge
Gulshan na rahey to gulon ka phir hoga kya
Geet bulbul na gaaye to mausam saazgaar na honge
Is “on - line” ke tamaashey men sahuliyat to hai
Per, kya woh raah per faqir aur baazaar na honge
Unsiyaat na rahi, milna julna na raha
Kya kal kisi ke ‘sahil’ ab dost yaar na honge
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com