Jab manzil nahin phir ravaan ho kyon
Tum aawara meri jaan ho kyon
Shab se gar kaam chalta jahan ka
Phir suraj kaho ayaan ho kyon
Har shai ka maqaam apna hai yaro
Phir hamaare kehne se wahan ho kyon
Tu kuch na karega khudaya agar
To pur sukun phir jahan ho kyon
Gar pukhtah ho iman to vaaiz
Darkaar koi aur darmaan ho kyon
‘Sahil’ safar lamhon ka hai zindagi
Phir mustaqil kuch yahan ho kyon
Note:
All material in this product is the intellectual property of
Ashok Sawhny and cannot be used in any way
without the written permission
of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com