Jahan e hast o bood kya gar jaavidaani ho
Khuda nahin to shaitan ki nigahbaani ho
Na chaman koi na baaghbaan kahin
Jahan saare men bas phir veeraani ho
Aisa ho to kya ho, jaane kya na ho, per
Khaufnaak to zurur yeh zindagani ho
Dasht e tanhayi men zabt e sukhan ki baat kya
Koi sun ne wala chahiye jab baat sunani ho
Yaro, saraab nahin yeh tasweer hai aaj ki
Jaane ab kis ko padh kar kya pareshani ho
Kufr ke maani to hum jaante nahin, per
Bin khuda ke jeena zeest deewaani ho
Jaane kyon darte hain maut se hum, ‘sahil’
Gar Maula se na mil paayen to be imaani ho
Has o bood. Worldly life. Past n present. Jo tha jo hai
Jaavidani. Eternity
Saraab. Mirage
Kufr. Atheism
Zeest. Zindagi
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com