Listen

Description


Jigar ki baatein mat kijiye woh dil nahin hotey
Dil narm hotey hain sab ke sang dil nahin hotey

Gar ban jaayen pathhar to baat ittefaaq ki hai
Phir, sang dil woh kabhi munfail nahin hotey

Khutbe main sunta hun har roz tere, magar
Lamhaat to, ai vaaiz, mustaqil nahin hotey

Jism to sirf khaak hai, zanjeeron se khauf kaisa
Himmat o iman to paband e salasil nahin hotey

Toote huay rishte daagh chhord jaate hain aise
Ke zakhm woh phir kabhi mundamil nahin hotey

Reton ki baat mat kijiye sehra to ja hai mukhtalif
Jo sahara na ban saken ‘sahil’ woh sahil nahin hotey

Note:

All material in this product is the intellectual property
of  Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,

The author is always open to proposals and can be contacted

via www.ashoksawhny.com