Ab kyon chahta hai dil subh ko shaam kar lun
Kar lun purey armaan adhurey kaam kar lun
Kaun jaane waqt kitna hai kab kis ke paas
Zamin se khud ko sar e baam kar lun
Suna hai qasa ba dast ko kehte huay aaj
Sar o saaman qasa mera, nizaam kar lun
Mujhe darkaar hai pal bhar ki mohlat, vaaiz
Ke do saansen khuda ke naam kar lun
ilawa is ke dost yaar hain bahot
Unhen bhi jaane se pehle salaam kar lun
Jo karne ko baqi hai kar lun, ‘sahil’
Alvida aur Ram Ram kar lun
Note:All material in this product is the intellectual property ofmAshok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com