Kabhi dakhl na dena “sahil” manzilen hain sab ki apni
Qaafiley bhi apne apne raahen hain sab ki apni
Kya aisey bhi log hain zindagi men jo usi se na miley hon
Yeh intekhaab bhi apna apna mulaqaten hain sab ki apni
Mahtaab ko takta hai koi, koi akhtar shumaari men masroof
Koi khwabon ki justaju men mahv, raaten hain sab ki apni
Veeranon ka dost hai koi, baharon ka haamil koi
Nazariye sab ke apne apne, nigahen hain sab ki apni
Mohabaten hain apni apni, nafraten bhi apni,
Humsafar sab ke apne apne, qurbaten hain sab ki apni
Dars na dena kisi ko shaair, jee le hayaat tu apni
Ek jaisa nahin hai koi, baaten hain sab ki apni
Haathon men hai qalam tere, kora kaaghaz bhi
“Sahil”, kahani teri apni, daastaanen hain sab ki apni
Noticee : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com